Vida - Big U

Vida - Big U

  • Rok wydania: 2020
  • Język: angielski
  • Czas trwania: 3:36

Poniżej tekst piosenki Vida , wykonawca - Big U z tłumaczeniem

Tekst piosenki „ Vida ”

Oryginalny tekst z tłumaczeniem

Vida

Big U

Main zindagi jeene k liye bhool gaya khud ko

Bhaag raha kerne hasil apne sapnon ko

Bheer hai shor hai samaj ka yahan zor hai

Batata chalun apko k aanay wala dor hai

Wo bore hai, lagi yahan per badi daurd hai

O Mochi mod hai rasta chord be

Signal tord kay gadi mord be

Chalain hawksbay, baby ko kaha maine call pe

Main khogaya main khogaya

Main sogaya main sogaya

Janay kahan main khogaya

Janay kahan main khogaya

Main sogaya main sogaya

Main khogaya main khogaya

Janay kahan main khogaya

Janay kahan main khogaya

Lafzon k jaal main beetay hue haal main

Jaun ki kitaab main, jalib k main nisaab main

Riyazi k hisaab main, shayar k main khayal main

Haal o ehwaal main apne hi main kisi jawab main

Bhy Khoya ehsaas main, main raigistaan ki pyaas main

Mehal ki talaash main, main kerne apni islah main

Nikla jo to nahi lauta phir kahan gaya main

Hoon main nadaan parinda ya koi darinda main

Jab tha chhota sa bacha tab iraday mere baray

Laga tha sir pe tanka gira jab tha kharay kharay

Bistar pe paray paray ashaar likh k maine kahay

Ab bin rukay chalun main kahun yeh bhi bin likhay

Wohi o jisne kiye mere liye darr thay bund

Wohi jiske anay se jata badal tha mausam

Wohi jiske sath guzarti subha dupehar or shamain

Kehta wo mujhe chhod k tu ab khud pe dehaan de

Yeh duniya kitni buri ab mujhe pata chala

Bachpan se janta main tha tabhi pharta main gala

Nahi mujhe is se gharz acha ya main bay sura

Shaeri kiya lagti meri kiyun isay main chhoo raha

Interlude

Dhoondo mujhe

Dhoondo mujhe

Dhoondo mujhe

Dhoondo mujhe

Main khogaya main khogaya

Main sogaya main sogaya

Janay kahan main khogaya

Janay kahan main khogaya

Main sogaya main sogaya

Main khogaya main khogaya

Janay kahan main khogaya

Janay kahan main khogaya

Nowe teksty i tłumaczenia na stronie:

Ponad 2 miliony tekstów piosenek

Piosenki w różnych językach

Tłumaczenia

Wysokiej jakości tłumaczenia na wszystkie języki

Szybkie wyszukiwanie

Znajdź potrzebne teksty w kilka sekund